Sunday 20 May 2012

अगर मेरी भी माँ होती तो मुझको भी ख़ुशी होती

God could not be every where so HE made mothers.
Happy Mothers Day....

ख़ुदा के रूप में हमको अगर न माँ मिली होती 
तो न दुनिया ही होती न हमारी ज़िन्दगी होती 

तेरे आँचल के साये की न सर पे चांदनी होती 
तो ए माँ धूप की सारी तपिश मैंने सही होती 

अगर दुनिया समझ लेती तेरे क़दमों में जन्नत है 
ना फिर महरूम दुनिया तेरी ख़िदमत से रही होती

मुझे हासिल हैं सब कुछ आज तेरी ही दुआओं से
जो तुम भी पास में होती,तो मुझको क्या कमी होती

किसी की माँ को मैं देखू तो मन में ये ख्याल आये
अगर मेरी भी माँ होती तो मुझको भी ख़ुशी होती

सिया मैं बेटियों के सारे ग़म ख़ुद दूर कर देती
जो मेरी फिक्र की आँखों में इतनी रोशनी होती

..khuda ke roop mein hamko agar na maa mili hoti
to na duniya hi hoti na hamari zindgi hoti

tere aanchal ke saaye ki na sir pe chaNdnee hoti
To aye maaN dhoop ki saari tapish main ne sahee hoti

Agar duniya samajh leti tere qadmoN meN jannat hai
Na phir mehroom duniya teri Khidmat se rahi hoti

mujhe hasil hai sab kuch aaj teri hi duaon se
jo tum bhi pass hoti ma n fir koyi kami होती

kisi ki ma ko main dekhu to man mein ye khyaal aaye
agar meri bhi maan hoti to mujhko bhi khushi hoti

siya main betiyon ke saare gham khud door kar deti
jo meri fiqr ki ankhon mein itni roshni hoti

1 comment:

  1. Khuda Ki Rehmat Hai Humpar Jo Unka Pyaar Mila,
    Janaat Se Haseen Kai Yaadon Ka Uphaar Mila,
    Kyun Karen Hum Us Khuda Se Ab Koi Shikwa Koi Gila,
    Jisne Humko Maa Ka Pyar Dilaya Jisko Paakar Mei Aur Tu Khila….

    Kyun Bhool Jaate Hain Hum Us Maa Ko Waqt Ke Saath-Saath,
    Nahin Rehta Humko Unka Koi Khayaal,
    Kya Hota Hoga Us Maa Ke Dil Ka Haal,
    Jisne Hamare Liye Bhula Diya Apna Har Ek Khwaab….

    ReplyDelete