Thursday 4 October 2012

ye khula asman he pyare


hasratoN ki udan he pyare
ye khula asman he pyare
har taraf khoon qatl barbadi
phir bhi bharat mahaan he pyare
kuchh na koi bigad payega
waqt jab mehrbaan he pyare
ham jahan par qayam karte hen
wo zameeN asman he pyare
zakhm jo tha wo bhar gaya lekin
dil pe ab tak nishan he pyare
uske dil men bhi jhaNk kar dekho
jiski meethi zabaan he pyare
teri tasveer kya banauN men
kaghazoN par thakaan hai pyaare
har maraz ka ilaaj he mumkin
sab ghamoN ka nidaan he pyare
teer to tere hath he lekin
paas mere kamaan he pyare
apne qad ka bhi jayeza lelo
kitni jhoothi ye shan hai pyaare
mujh ko duniya se kya gharaz he siya
mera apna jahan he pyare

No comments:

Post a Comment