Friday 30 November 2012

उनसे बिछड़ गए है तो जज़्बात मर गए

रिश्तों को जोड़ने में ज़माने गुज़र गए 
मुद्दत में जो बने थे पलों में बिखर गए 

आँखों में इंतज़ार की खुश्की समां गयी
देखे हुए किसी को ज़माने गुज़र गए

हम पर भरी बहार का होता नहीं असर
उनसे बिछड़ गए है तो जज़्बात मर गए

उनसे किसी तरह की भी उल्फत न हो सकी
जो लोग एक बार नज़र से उतर गए

मासूम ख्वाहिशों का गला घोंटने के बाद
जज़्बात के रवां थे जो दरिया ठहर गए

जिसमें लिखी थी मैंने सिया दास्तान ए इश्क़
कल शब् उसी बयाज़ के पन्ने बिखर गए

rishto'n ko jodne mein zamaane guzar gaye
mudaat mein jo bane palo'n mein bikhar gaye

aankho mein intzaar ki khushki sama'n gayi
dekhe hue kisi ko zamane guzar gaye

hum par bhari bahaar ka hota nahi asar
unse bichhad gaye hai to jazbaat mar gaye

unse kisi tarah ki bhi ulfat na ho saki
jo log ek baar nazar se utar gaye

masoom khwahisho'n ka gala ghontne ke baad
jazbaat ke rawan the jo dariya thahar gaye

jismein likhi thi maine siya daastaan e ishq
kal shab usi byaaz ke panne bikhar gaye 


No comments:

Post a Comment