Friday 4 January 2013

मजबूर कर गए मेरे हालात किस क़दर


बढ़ने लगे हैं ज़ेहन में खदसात किस क़दर 
मजबूर कर गए मेरे हालात किस क़दर 

हैवानियत की सारी हद्दे पार कर गए 
थी ज़ेहन पर सवार खुराफात किस क़दर

आखिर हयात हार गयी जंग मौत से 
थे सख्त दामिनी पे वो हालात किस क़दर 

मत पूछ मुझसे मेरी उदासी का यूं सबब 
कर देंगे शर्मसार सवालात इस क़दर 

इंसानियत भी मुंह को छिपाए है इन दिनों 
होने लगे वतन में फ़सादात किस क़दर 

ए दिल मुझे संभाल,जरा सब्र दे मुझे भड़का रहे है
मुझको ये जज़्बात किस क़दर 

कोई तो हो जो बात का मेरी जवाब दे
खुद से करुँगी मैं भी भला बात किस क़दर 

badhne lage hain zehan mein khadsaat kis qadar 
majboor kar gaye mere halaat kis qadar 

havaniyat ki sari hadde paar kar gaye
 thi zehan par sawar khurafaat kis qadar ..

aakhir hayat haar gayi jung maut se
 the sakht damini pe wo halaat kis qadar 

mat puch mujhse meri udasi ka yoon sabab
 kar denge sharmsaar sawalaat is qadar 

insaniyat bhi mooh ko chipaaye hai in dino
 hone lage vatan mein fasadaat kis qadar 

aye dil mujhe sambhal,jara sabr de mujhe
 bhadka rahe hai mujhko ye jazbaat kis qadar 

koyi to ho jo baat ka meri jawab de
khus se karungi main bhi bhala baat kis qadar .

1 comment: