Saturday 2 March 2013

मुल्क़ के हर किसी बच्चे को पढाया जाए

इल्म से कल हो सुनहरा ये बताया जाए 
मुल्क़ के हर किसी बच्चे को पढाया जाए 

दौलत ए इल्म जो बख्शी हैं ख़ुदा ने हमको 
बाँट कर इसको ज़माने में बढाया जाए 

हो ये हीरे की तरह ऐसा तराशो इनको
इस तरह फन से ज़माने को सजाया जाए

सिर्फ सच्चाई को ईमान बना कर इनकी
इनके क़िरदार को आइना बनाया जाए

ईट के संग के लोहे के बियाबां से दूर
गावं के बेच नया शहर बसाया जाए

गर इबादत है 'सिया' फ़र्ज़ करें हम ऐसे
इनका जो हक़ हैं इन्हें बढ़ के दिलाया जाए

Ilm se kal ho sunahra yeh bataya jaaye
Mulk k har kisi bachche ko padhaya jaaye

Daulat-e-ilm jo bakhshi hai khuda ne humko
Bant kar isko zamane mei badhaya jaaye

Ho yeh heere ki tarah aisa tarashein inko
is tarah fan se zamaney ko sajaya jaaye

sirf sachchayi ko imaan bana kar iinki
Inke kirdaar ko aaina banaya jaaye

Eint ke sang ke lohey ke biyabaan se door
Gaon ke beech naya shahr basaya jaaye

Gar ibadat hai ‘Siya’ farz karein ham aisey
inka jo haq hai inhe badh ke dilaya jaaye

siya

No comments:

Post a Comment