Friday 3 May 2013

दर्द में भी कमी नहीं होती


मुझमें गर आगही नहीं होती 
ज़ेहन में रौशनी नहीं होती 

ज़ख्म ए  दिल हैं की बढ़ते जाते हैं 
दर्द में भी कमी नहीं होती 

टूट कर यूं न मैं बिखरती ग़र 
अपने दिल की सुनी नहीं होती

उडती फिरती हूँ इक परिंदे सी 
मुझमें जब बेक़ली  नहीं होती

ग़म न होते जो अपने जीवन में 
क़द्र खुशियों की भी नहीं होती 

लाख दुनिया ने ज़ुल्म ढाए पर 
हौसलों में कमी नहीं होती 

लाश ढोते  है अपने कांधो पर 
जिनके दिल में ख़ुशी नहीं होती 

मौत का ख़ौफ़ ही नहीं मुझको 
मौत क्या जिंदगी नहीं होती 

तू न मिलता तो ए सिया मेरी 
शायरी शायरी नहीं होती 

mujh mein gar aagahi nahi hoti
zehan mein roshni nahi hoti 

Zakhm e dil hain ki badhte jaate hain,
Dard mein bhee kami nahi'N hoti

toot kar yoon n main bikharati gar
apne dil ki suni nahiN hoti


Udti phirtee main ik parinde se
Kash kuch bebasi nahi'N hoti 

Gam n hote jo apne jeevan mein,
qadr khushiyoN ki bhi nahiN hoti

lakh duniya ne zulm dhaaye par
houslo'n mein kami nahin hoti.

laash dhote haiN apne kandho par
jinke dil mein khushi nahiN hoti

 tu na milta to aye siya meri 
shayari shayari nahi hoti 

Thi "Siya" unki  baat nashtar see,
Warna dil mein chubhee nahee'n hotee.

No comments:

Post a Comment