Thursday 12 September 2013

अपनी फिक्र बढाया कर

सूखी रोटी खाया कर 
फिर भी तू मुस्काया कर 

मेरे दिल के आँगन में
जब जी चाहे आया कर

औरों की ख़िदमत में भी
अपने को उलझाया कर

वर्तमान में जीता रह
माज़ी को दफ़नाया कर

नफ़रत के हर जंगल को
माचिस भी दिखलाया कर

बांध नए मज़मून सिया
अपनी फिक्र बढाया कर

sukhi roti khaya kar
fhir bhi tu muskaya kar

jo bhi hai beghar unke
sar ke upar saya kar

mere dil ki aangan mein
jab jee chahe aaya kar

auro ki khidmat mein bhi
apne ko uljhaya kar

vartman mein jeeta rah
mazi ko dafnaya kar

nafrat ke har jungle ko
machis bhi dikhlaya kar

bandh naye mazmoon siya
apni fiqr badhaya kar

No comments:

Post a Comment