Sunday 12 January 2014

इश्क़ दरअस्ल ख़वाब जैसा था

हाल दिल का सराब जैसा था 
इश्क़ दरअस्ल  ख़वाब जैसा था 

वो मिला एक ख़वाब की सूरत 
इश्क़ जैसे हुबाब जैसा था 

काश वो देख लेता आके मुझे 
हाल खाना खराब जैसा था 

हाँ उसे भूलना नहीं आसां
एक सच था जो ख़वाब जैसा था

उसने पानी में कुछ मिलाया था
ज़ायक़ा तो शराब जैसा था

सल्तनत छिन गयी थी उसकी मगर
फिर भी लहजा नवाब जैसा था

haal dil ka saraab jaisa tha
ishq darasal khwaab jaisa tha

wo mila ek khwaab ki surat
ishq jaise hubab jaisa tha

kash wo dekh leta aake mujhe
haal khana kharaab jaisa tha...

haan use bhulna nahi aasaN
ek sach tha jo khwaab jaisa tha

usne pani mein kuch milaya tha
zayeqa to sharaab jaisa tha

saltnat chhin gayi thi uski magar
phir bhi lehja nawab jaisa tha

No comments:

Post a Comment